Kab Ziya-bar Tera Chehra-e-zeba Hoga
kab ziya-bar tera chehra-e-zeba hoga
kya jab aankhen na rahengi to ujala hoga
mashghala us ne ajab saunp diya hai yaro
umr bhar sochte rahiye ki wo kaisa hoga
jaane kis rang se ruThegi tabiat us ki
jaane kis Dhang se ab us ko manana hoga
is taraf shahr udhar Dub raha tha suraj
kaun sailab ke manzar pe na roya hoga
yahi andaz-e-tijarat hai to kal ka tajir
barf ke baT liye dhup mein baiTha hoga
dekhna haal zara ret ki diwaron ka
jab chali tez hawa ek tamasha hoga
aastinon ki chamak ne hamein mara 'anwar'
hum to KHanjar ko bhi samjhe yad-e-baiza hoga
(2380) Peoples Rate This