Jo Barishon Mein Jale Tund Aandhiyon Mein Jale
jo barishon mein jale tund aandhiyon mein jale
charagh wo jo bagulon ki chimniyon mein jale
wo log the jo fareb-e-nazar ke matwale
tamam umr sarabon ke paniyon mein jale
kuchh is tarah se lagi aag baadbanon ko
ki Dubne ko bhi tarse jo kashtiyon mein jale
yahi hai faisla tera ki jo tujhe chahe
wo dard-o-karb-o-alam ki kaThaaliyon mein jale
dam-e-firaq ye mana wo muskuraya tha
magar wo dip ki chupke se ankhDiyon mein jale
wo jhil jhil mein jhurmuT na the sitaron ke
charagh the ki jo chandi ki thaaliyon mein jale
dhuan dhuan hai daraKHton ki dastan 'anwar'
ki jangalon mein pale aur bastiyon mein jale
(2301) Peoples Rate This