Ishaaraton Ki Wo Sharhen Wo Tajziya Bhi Gaya
ishaaraton ki wo sharhen wo tajziya bhi gaya
jo gird-e-matn bana tha wo hashiya bhi gaya
wo dil-ruba se jo sapne the le uDin ninden
dhanak-nagar se wo dhundla sa rabta bhi gaya
ajib lutf tha nadaniyon ke aalam mein
samajh mein aain to baaton ka wo maza bhi gaya
hamein bhi banne sanwarne ka dhyan rahta tha
wo ek shaKHs ki tha ek aaina bhi, gaya
baDa sukun mila aaj us ke milne se
chalo ye dil se tawaqqoa ka waswasa bhi gaya
gulon ko dekh ke ab rakh yaad aati hai
KHayal ka wo suhana talazima bhi gaya
musafirat pe main teshe ke sang nikla tha
jidhar gaya hun mere sath rasta bhi gaya
hamein to ek nazar nashr kar gai 'anwar'
hamare hath se dil ka musawwada bhi gaya
(2539) Peoples Rate This