Darmiyan Gar Na Tera Wada-e-farda Hota
darmiyan gar na tera wada-e-farda hota
kis ko manzur ye zahr-e-gham-e-duniya hota
kya qayamat hai ki ab main bhi nahin wo bhi nahin
dekhna tha to use dur se dekha hota
kasa-e-zaKHm-talab le ke chala hun KHali
sang-reza hi koi aap ne phenka hota
falsafa sar-ba-gareban hai baDi muddat se
kuchh na hota to KHuda jaane ki phir kya hota
hum bhi nau-KHez shuaon ki balaen lete
apne zindan mein agar koi daricha hota
aap ne haal-e-dil-e-zar to puchha lekin
puchhna tha to koi us ka mudawa hota
dast-e-muflis se tahi-tar hai safina 'anwar'
is pahunchne se to sahil pe na pahuncha hota
(2069) Peoples Rate This