Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9f7d548facea10fc991f91ab70bd1829, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bas Yunhi Ek Wahm Sa Hai Waqia Aisa Nahin - Anwar Masood Poetry In English - Darsaal

Bas Yunhi Ek Wahm Sa Hai Waqia Aisa Nahin

bas yunhi ek wahm sa hai waqia aisa nahin

aaine ki baat sachchi hai ki main tanha nahin

baiThiye peDon ki utran ka alaw tapiye

barg-e-sozan ke siwa darwesh kuchh rakhta nahin

uf chaTaKHne ki sada se kis qadar Darta hun main

kitni baaten hain ki danista jinhen socha nahin

apni apni sab ki aankhen apni apni KHwahishen

kis nazar mein jaane kya jachta hai kya jachta nahin

chain ka dushman hua ek masala meri taraf

us ne kal dekha tha kyun aur aaj kyun dekha nahin

ab jahan le jae mujh ko jalti-bujhti aarzu

main bhi is jugnu ka pichha chhoDne wala nahin

kaisi kaisi pursishen 'anwar' rulati hain mujhe

ketiyon se kya kahun main abr kyun barsa nahin

(2892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Yunhi Ek Wahm Sa Hai Waqia Aisa Nahin In English By Famous Poet Anwar Masood. Bas Yunhi Ek Wahm Sa Hai Waqia Aisa Nahin is written by Anwar Masood. Read famous Poem Bas Yunhi Ek Wahm Sa Hai Waqia Aisa Nahin for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Bas Yunhi Ek Wahm Sa Hai Waqia Aisa Nahin in PDF.