Bas Ab Tark-e-talluq Ke Bahut Pahlu Nikalte Hain
bas ab tark-e-talluq ke bahut pahlu nikalte hain
so ab ye tai hua hai shahr se sadhu nikalte hain
hum aa nikle ajab se ek sahra-e-mohabbat mein
shikari ke taaqub mein yahan aahu nikalte hain
ye ek manzar bahut hai umr bhar hairan rahne ko
ki miTTi ke masamon se bhi rang-o-bu nikalte hain
zamir-e-sang tujh ko tera paikar-saz aa pahuncha
abhi aankhen ubharti hain abhi aansu nikalte hain
koi nadir KHazina hai mere dast-e-tasarruf mein
jhapaTne ko dar-o-diwar se bazu nikalte hain
main apne dushmanon ka kis qadar mamnun hun 'anwar'
ki un ke shar se kya kya KHair ke pahlu nikalte hain
(2081) Peoples Rate This