Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_12fe04790e9f0e149c3f25e70ecb8363, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
BajaT Maine Dekhe Hain Sare Tere - Anwar Masood Poetry In English - Darsaal

BajaT Maine Dekhe Hain Sare Tere

bajaT main ne dekhe hain sare tere

anokhe anokhe KHasare tere

alalle-talalle udhaare tere

bhala kaun qarze utare tere

girani ki saughat hasil mera

mahasil tere goshware tere

mushiron ka jamghaT salamat rahe

bahut kaam jis ne sanware tere

meri sada-lauhi samajhti nahin

hisabi kitabi ishaare tere

kai istelahon mein gundhe hue

kinae tere istiare tere

tu arbon ki kharbon ki baaten kare

adad kaun itne shumare tere

tujhe kuchh gharibon ki parwa nahin

waDere hain pyare dulare tere

idhar se liya kuchh udhar se liya

yunhi chal rahe hain idare tere

(3272) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

BajaT Maine Dekhe Hain Sare Tere In English By Famous Poet Anwar Masood. BajaT Maine Dekhe Hain Sare Tere is written by Anwar Masood. Read famous Poem BajaT Maine Dekhe Hain Sare Tere for youth and Student by Anwar Masood. Free Download BajaT Maine Dekhe Hain Sare Tere in PDF.