Magar Meri Aankhon Mein
meinh barasta hai
aangan mein bundon ki rim-jhim mein
chiDiyan chahakti hui chaar-su
ghumti hain
chhaton par ghane kale baadal
bane dewta jhumte hain
sutunon se lipTi hui
surKH phulon ki belen
baraste hue meinh ki bauchhaar mein
apna joban nikhaare
machalti hain
aangan mein khulte hue KHali kamre
andhere ki bakal mein simTe hue
guzre waqton ki madira piye
unghte hain
KHamoshi
ghane baadalon ka andhera
hawa ke taDapte hue sard jhonkon mein
bundon ki rim-jhim
ye lagta hai
sadiyon se Thahra hua waqt
mausam ke nashe mein be-KHud hua hai
magar meri aankhon mein
sawan ki guzri hui rut ke lamhe
jali ghas ki pattiyan ban ke chubhte hain
(789) Peoples Rate This