Raat Ka Kya Zikr Hai Sham-o-sahar Aaya Nahin
raat ka kya zikr hai sham-o-sahar aaya nahin
kaun sa ilzam hai jo mere sar aaya nahin
yun to rah-e-be-KHatar mein rahnuma milte rahe
pur-KHatar rahon mein koi rahbar aaya nahin
kaun jaane kis ke Dar se aaj phir mera rafiq
chahta tha mere ghar aana magar aaya nahin
is qadar qurbat baDhi har naqsh dhundla ho gaya
wo tha mere samne lekin nazar aaya nahin
dil ko kya kahiye ki wo qatil ke ghar KHud hi gaya
lakh koshish ki magar wo rah par aaya nahin
lakh andeshon ne 'anwar' gher rakkha hai mujhe
raat sar par aa gai aur nama-bar aaya nahin
(772) Peoples Rate This