Be-ghar Tha Phir ChhoD Gaya Ghar Jaane Kyun
be-ghar tha phir chhoD gaya ghar jaane kyun
par kiya hai sat samundar jaane kyun
aankhen hairan dil viran hain chehre zard
chiKH raha hai manzar manzar jaane kyun
aankhon mein mazlumon ke bas aansu hain
fikr mein hai har ek sitam-gar jaane kyun
tapti rit jhulaste sae tund hawa
ghar se nikla mom ka paikar jaane kyun
phul sa chehra jhil si us ki aankhen hain
yaad aata hai mujh ko aksar jaane kyun
aate jate sab se baaten karta tha
chup baiTha hai aaj qalandar jaane kyun
meri ghazlen sun kar 'anwar' chahat se
dekhta hai har ek suKHnawar jaane kyun
(759) Peoples Rate This