Qayam-gah Na Koi Na Koi Ghar Mera
qayam-gah na koi na koi ghar mera
azal se ta-ba-abad sirf ek safar mera
KHiraj mujh ko diya aane wali sadiyon ne
buland neze pe jab hi hua hai sar mera
ata hui hai mujhe din ke sath shab bhi magar
charag shab mein jila deta hai hunar mera
sabhi ke apne masail sabhi ki apni ana
pukarun kis ko jo de sath umr bhar mera
main gham ko khel samajhta raha hun bachpan se
bharam ye aaj bhi rakh lena chashm-e-tar mera
mere KHuda main teri rah jis ghaDi chhoDun
usi ghaDi se muqaddar ho dar-ba-dar mera
(1142) Peoples Rate This