Udasi Ek LaDki Hai

december ki ghani raaton mein

jab baadal barasta hai

larazti KHamushi

jab baal khole

corridoron mein sisakti hai

to aatish-dan ke aage

kahin se wo dabe-panw

mere pahlu mein aati hai

aur apne marmarin hathon se

mere baal suljhate hue

sargoshiyon mein dard ke qisse sunati hai

july ki do-pahren

mumTiyon se jab utar kar

aanganon mein phail jati hain

aur ek aawara sannaTa

chhaton par bhaari qadmon se

baDi aahistagi ke sath chalta hai

to wo chupke se mere pas aati hai

aur apne dhime lahje mein

wo sari dastanen kah sunati hai

jinhen sun kar main dhimi aanch par

pahron sulagta hun

kisi girje ke viran lawn mein

jab january

apne sunahri gesuon ko khol kar

koi purana git gati hai

to wo ek an-chhui nan ki tarah

patthar ke benchon par

mere kandhe pe sar rakkhe

mere chehre pe apni ungliyon se

sog likhti hai

kisi wadi ke tanha Dak-bangle mein

kabhi jab sham roti hai

siyah kafi ke pyalon se

lapakti bhap mein

baaton ke biscuit phul jate hain

to wo bhi jangali belon se

uThti KHushbuon se jism pati hai

mere nazdik aati hai

meri sanson ki pagDanDi pe

dhire dhire chalti hai

mere andar utarti hai

(972) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Udasi Ek LaDki Hai In English By Famous Poet Anwar Fitrat. Udasi Ek LaDki Hai is written by Anwar Fitrat. Read famous Poem Udasi Ek LaDki Hai for youth and Student by Anwar Fitrat. Free Download Udasi Ek LaDki Hai in PDF.