Kenchuli Badalti Raat
pain bagh mein
chand utra
aur chandan mahka
raat ki sanwal Dali se
ek narm gulabi nagin lipTi
chaaron or mein
resham narm hua ka jangal
dud gulabi hariyal maKHmal
hauz kinara
simin pani
jhal jhal karta jism
us par
ek siyah tilism
dur mahal ki khiDki mein
wo dahka ek angara
subh ke maqtal mein ek kaunda
sajal lahu ka dhaara
sij pe saj gae
la-tadad
basre aur baghdad
mehrabon se umaD paDe hain
sat disha ke qulzum
gardan par aa baiTha hai
maut ka tasma-pa
jiwan ke darwaze par
koi pukare paiham
sim-sim
sim-sim
sim-sim
(767) Peoples Rate This