Dard Uruj Par Aa Jae To
aa ri mail kuchaili
bhuki nangi duniya
main ne ek din teri qimat
ek kam besh rupae rakkhi thi
apne kahe par aaj bahut sharminda hun
aa main tere sang
ek aaKHiri raqs karun
aag aur dhuen ki aamezish se
sidra-bos daraKHt banaen
aur phir us ke sae tale
hum garjile giton ki lai par
chhati se chhati Takraen
qadam se qadam milaen
kya itraata manzar hai
charchar karte mas ki boss mein
aawazon ka kya nayab KHazana hai
ye ek aisi simfani hai
jis mein KHauf nahin hai
dard uruj par aa jae to
KHauf kahan rahta hai
aah karah ka aisa sangam
lafzon mein kis ne bandha hai
jism-o-sada ke aise aise daere
ban jate hain jin mein
azali nir tak abad mughanni KHud bhi kho jate hain
aa hum chaaron samt mein
aag laga den
dariya aur samundar bhak se uDa den
KHud ko bhasm karen
ai ri duniya
teri karahat se mujh ko
kuchh ishq hi aisa hai
main marta hun
tu bhi mar ja
(937) Peoples Rate This