Ab Apna Haal Hum Unhen Tahrir Kar Chuke
ab apna haal hum unhen tahrir kar chuke
KHama supurd katib-e-taqdir kar chuke
kahte hain tum visal ki tadbir kar chuke
goya hamare haq mein wo taqdir kar chuke
tadbir ko hawala-e-taqdir kar chuke
hum be-zaban bhi yar se taqrir kar chuke
dil-e-KHar-KHar KHanda-e-chashm-e-asar hai ab
dil-e-garm sirf nala-e-shab-gir kar chuke
marta hun yun ki basta-e-fitrak kyun nahin
main hun wahi ki tum jise naKHchir kar chuke
hum jaan kyun na den dam-e-guftar bar bar
par dekhte hain ye ki wo taqrir kar chuke
bahar hai zabt-e-sharm se aashuftagi meri
tum bhi asir-e-zulf-e-girah-gir kar chuke
waqt-e-payam wasl wo kahte hain ho chuka
shayad adu se wasl ki tahrir kar chuke
bas intizar-e-subh-e-qayamat nahin qubul
hum ab to azm nala-e-shab-gir kar chuke
kuchh muzd-e-ranj bazu-e-qatil nahin ki dil
nazr ada-e-burrash-e-shamshir kar chuke
khulta nahin ye uqda ki ho baiThe shad kyun
kis ko asir-e-zulf-e-girah-gir kar chuke
kahiye ki shan-e-ishq mein kya ho gai kami
go aap KHub si meri tahqir kar chuke
dil hai yahan do-nim qusur-e-tapish muaf
tum bhi nigah-e-bazm ko shamshir kar chuke
khulta hai aur nala-sarai se dil mera
nala ye bin to un pe bhi tasir kar chuke
surat chhupaiye kisi surat-parast se
hum dil mein naqsh aap ki taswir kar chuke
daman-kashan chale hain meri KHak par se wo
barbaad karne ki meri tadbir kar chuke
kuchh hashr-KHezi shab-e-gham-e-intizar-e-marg
kuchh dur zulm waqt ki taKHir kar chuke
gautam ne us ko rakh ke nazar mein gira diya
lekin adu ki izzat-o-tauqir kar chuke
ta-charKH hain uDae phire mujh ko zoaf mein
nale kahan kahan mujhe tashhir kar chuke
hai wahan nigah nigah ko sar-e-dil-bari magar
dil ko mere wo qismat-e-sad-tir kar chuke
kahiye ki zor-e-bazue mein kidhar gaya
sau bar ghair aap ki taqsir kar chuke
pahle jabin hawala-e-taqdir kar chuke
dil musir hai ki kar-kunan-e-qaza a
saman-e-sad-shikastin tamir kar chuke
chun chun ke be-gunah ko wo late hain zer-e-tegh
hum jab se is ummid pe taqsir kar chuke
aaKHir to baad us ke hai yas se ummid
jo kuchh hum apni aah ki tasir kar chuke
ab kya kahen ki qaul-e-wafa de chuke unhen
pahle hi qata daman-e-taqrir kar chuke
ab kya raha lapeT mein daman se aap ke
miTTi hum apni aap jo tauqir kar chuke
hai chashm-e-dajla baz to kya hum ko chashm-e-zist
kashana ru-e-ab pe tamir kar chuke
kyun iltija-e-qatl se kijiye unhen satang
jab waqt aa gaya to wo taKHir kar chuke
hum kis se shukr-o-madh qubul-o-dua karen
lab qismat-e-shikayat-e-tasir kar chuke
ab munh se bolti koi taswir aap ki
jaan apni hum hawala-e-taqdir kar chuke
is lab pe imtihan ke liye mar miTe hain hum
jine se pahle marne ki tadbir kar chuke
hota hai wo hi yahan ki jo manzur hai wahan
'anwar' hum aazmaish-e-taqdir kar chuke
(1043) Peoples Rate This