Ye Narm Hath Mare Hath Mein Thama Dije
ye narm hath mare hath mein thama dije
thaka hua hun zara dil ko hausla dije
bas ab mile hain to kije na aas-pas ka KHauf
jo sang-e-rah mile panw se haTa dije
ye aur dur hai aur sab yahan mujhi se hain
wo kohkan ki hikayat ab bhula dije
nahin hai aap ko fursat agar tawajjoh ki
to main bhi lauTta hun ghar ko aagya dije
wafa hai jurm to iqrar-e-jurm hai mujh ko
ye main hun ye mera dil lijiye saza dije
mera wajud bhi hai aap ki jabin ka dagh
ise bhi harf-e-ghalat ki tarah miTa dije
kal aap ne jo chhuDaya to chhuT sakega na hat
jo uljhanen hain mujhe aaj hi bata dije
ye khel khela hai jab pyar ka to phir ai dil
ab apne aap ko bhi danw par laga dije
tamam umr bhaTakti rahi nazar ki kahin
mile koi jise nazrana-e-wafa dije
meri to jumbish-e-lab bhi hai na-KHushi ka sabab
ab aap hi koi tarz-e-bayan sikha dije
wo sahme sahme judai ke muztarib lamhe
meri nigah mein ek bar phir basa dije
gaya nahin hai abhi daur aap ka 'anjum'
jo dil udas ho to phir use sada dije
(1166) Peoples Rate This