Hua Kare Agar Usko Koi Gila Hoga
hua kare agar us ko koi gila hoga
zaban khuli hai to phir kuchh to faisla hoga
kabhi kabhi to ye dil mein sawal uThta hai
ki is judai mein kya us ne pa liya hoga
wo garm garm nafas kaise Thahrte honge
ab in shabon ko wo kaise guzarta hoga
kabhi jo guzrun tere shahr se to sochta hun
ki is zamin pe kya kya qadam paDa hoga
KHusha wo raunaq-e-hangama-e-visal ab to
yaqin hi nahin aata ki yun hua hoga
wo khoi khoi wafaon ka bhula-bisra git
kabhi to us ke shabistan mein bhi gaya hoga
nikal paDe the yunhi hum to ek din ghar se
kise KHabar thi ki yun tum se samna hoga
kabhi uThe hi nahin hum talash ko warna
koi to shahr mein apna bhi aashna hoga
ye haul-nak KHamoshi judai ka aashob
main sochta hun ki yunhi raha to kya hoga
kis aarzu mein uThe kis taraf chale 'anjum'
is aadhi raat mein ab kis ka dar khula hoga
(998) Peoples Rate This