Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a63ab5fdb87b16af15e6bca99da37628, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dhup Ho Gae Sae Jal Gae Shajar Jaise - Anwar Anjum Poetry In English - Darsaal

Dhup Ho Gae Sae Jal Gae Shajar Jaise

dhup ho gae sae jal gae shajar jaise

jam gai fazaon mein ab ke dopahar jaise

zist ke KHarabe mein ek siyah ghar dil ka

aur dil mein yaad us ki raushni ka dar jaise

kaise kaise hangama ghere rakhte the din raat

lag gai nigahon ko apni hi nazar jaise

ya to aane se pahle ghar ka puchhte ahwal

aa gae to ab kije ho guzar-basar jaise

aise takta rahta hun us gali ke logon ko

le ke aaega koi meri bhi KHabar jaise

muddaton main guzra tha us ke shahar se lekin

sab makan lagte the ab bhi us ke ghar jaise

naqsh-gah-e-hasti mein dekhi apni bhi taswir

ek kaghaz-e-sada aansuon se tar jaise

chahti hai ab wahshat dur tak bayabani

kaTne ko aate hain ghar ke baam-o-dar jaise

mujh se kya sahe jate un ki bazm ke aadab

ashk mangte the wo ashk bhi guhar jaise

main bhi kitna sada hun rahguzar pe baiTha hun

rok lega wo panw mujh ko dekh kar jaise

meri KHwahishen 'anjum' jaise nachti pariyan

mera sara mustaqbil KHwab ka nagar jaise

(1007) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhup Ho Gae Sae Jal Gae Shajar Jaise In English By Famous Poet Anwar Anjum. Dhup Ho Gae Sae Jal Gae Shajar Jaise is written by Anwar Anjum. Read famous Poem Dhup Ho Gae Sae Jal Gae Shajar Jaise for youth and Student by Anwar Anjum. Free Download Dhup Ho Gae Sae Jal Gae Shajar Jaise in PDF.