Chup BaiTha Mein Akasr Sochta Rahta Hun
chup baiTha mein akasr sochta rahta hun
aaKHir main kyun itna tanha tanha hun
pahron jin ki jhil mein khoya rahta tha
un aankhon ki yaad mein Duba rahta hun
tum jo baaten bhul chuke ho muddat se
main to un mein ab bhi uljha rahta hun
tum badlo to badlo apni rah magar
main to ek Dagar par chalta rahta hun
sada-pan kuchh neki hi ka nam nahin
dekhne mein to main bhi sidha-sada hun
tere ghar bhi pahuncha hai ye shor kabhi
ya main hi anjaan sadaen sunta hun
ghar ki diwaron mein yun dil tang na ho
DhunDh mujhe main is ghar ka darwaza hun
jis ne pyar se dekha us ke sath hua
sach puchho to main bhi ab tak bachcha hun
'anjum' main kyun duniya par ilzam rakhun
aankhen hain to phir kyun Thokar khata hun
(1366) Peoples Rate This