Kab Lazzaton Ne Zehn Ka Pichha Nahin Kiya
kab lazzaton ne zehn ka pichha nahin kiya
ye mera hausla tha ki lab wa nahin kiya
wo kam-nigah tha magar us se chura ke aankh
main ne bhi apne sath kuchh achchha nahin kiya
tajdid-e-irtibaat bhi mumkin thi baad mein
main ne hi us rawish ko gawara nahin kiya
pahle to ek junun sa arz-e-talab ka tha
jab wo mila to dil ne taqaza nahin kiya
suraj raha jo din mein mere ghar se dur dur
phir main ne raat mein bhi ujala nahin kiya
kya wahm tha ki khulte hi lab band ho gae
kya baat thi ki lafz bhi pura nahin kiya
main ne bhi chalte chalte yunhi kar diya sawal
kya ho gaya jo aap ne pura nahin kiya
main sada-lauh sada-bayan sada-arzu
aur us ne sadgi pe bharosa nahin kiya
jab mera ishtiyaq hua zabt-azma
phir us ne apne-ap hi parda nahin kiya
amrit samajh ke pi liya 'anjum' ne zahr-e-gham
lekin tumhaare nam ko ruswa nahin kiya
(2009) Peoples Rate This