Chand Tare Jise Har Shab Dekhen
chand tare jise har shab dekhen
hum bhi us shoKH ko yarab dekhen
yun milen un se ki apna chehra
wo bhi hairan hun kal jab dekhen
pahle bas dil ko KHabar thi dil ki
ab wafa aam hui sab dekhen
qurb mein kya hai jo duri mein nahin
tum jo aao to kisi shab dekhen
ji mein hai phir karen izhaar-e-wafa
phir tere larze hue lab dekhen
main ki hun ek hi aashufta KHayal
log har baat mein matlab dekhen
jo kisi ne kabhi dekhe na sune
wo tamashe wo fusun ab dekhen
aaj to yun gale lag jao ki bas
phir to jaane tumhein kab kab dekhen
lakh patthar sahi wo but 'anjum'
wo ghaDi hum se mile tab dekhen
(1609) Peoples Rate This