Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6c8b9321c197dbd883e3a2132849b8f1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Qissa-e-gham-e-dil Hai To Bankpan Se Chale - Anvar Moazzam Poetry In English - Darsaal

Ye Qissa-e-gham-e-dil Hai To Bankpan Se Chale

ye qissa-e-gham-e-dil hai to bankpan se chale

kisi nigah pe Thahre kisi badan se chale

na jaane kis ke karam se khile kali dil ki

sumum-e-dasht se uThe saba chaman se chale

wo aae dil mein to yun jaise sham ka tara

misal-e-mah sitaron ki anjuman se chale

fasane chaak-e-gareban ke paD gae phike

junun ki baat kabhi tere pairahan se chale

hujum-e-subh ki tanhaiyon mein Dub gae

wo qafile jo andheron ki anjuman se chale

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Qissa-e-gham-e-dil Hai To Bankpan Se Chale In English By Famous Poet Anvar Moazzam. Ye Qissa-e-gham-e-dil Hai To Bankpan Se Chale is written by Anvar Moazzam. Read famous Poem Ye Qissa-e-gham-e-dil Hai To Bankpan Se Chale for youth and Student by Anvar Moazzam. Free Download Ye Qissa-e-gham-e-dil Hai To Bankpan Se Chale in PDF.