Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a20dc45875478d39e6c6b77c5a9a9ee8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Ghazal Ki Anjuman Hai Zara Ehtimam Kar Lo - Anvar Moazzam Poetry In English - Darsaal

Ye Ghazal Ki Anjuman Hai Zara Ehtimam Kar Lo

ye ghazal ki anjuman hai zara ehtimam kar lo

kisi gham ko mai bana lo kisi dil ko jam kar lo

kahan subh-e-gham ka suraj kahan sham ka sitara

isi ruKH pe zulf bikhre yahi subh-o-sham kar lo

wo habib ho ki rahbar wo raqib ho ki rahzan

jo dayar-e-dil se guzre use ham-kalam kar lo

ye kahan ke mohtasib hain ye kahan ki maslahat hai

jo unhen nahin mayassar wahi shai haram kar lo

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ghazal Ki Anjuman Hai Zara Ehtimam Kar Lo In English By Famous Poet Anvar Moazzam. Ye Ghazal Ki Anjuman Hai Zara Ehtimam Kar Lo is written by Anvar Moazzam. Read famous Poem Ye Ghazal Ki Anjuman Hai Zara Ehtimam Kar Lo for youth and Student by Anvar Moazzam. Free Download Ye Ghazal Ki Anjuman Hai Zara Ehtimam Kar Lo in PDF.