Aao Dekhen Ahl-e-wafa Ki Hoti Hai Tauqir Kahan
aao dekhen ahl-e-wafa ki hoti hai tauqir kahan
kis mahfil ka nam hai maqtal khinchti hai shamshir kahan
chhuT na paoge dil walo chahat ke is zindan se
chaho to dil TuT bhi jaen TuTegi zanjir kahan
chashm-e-sahar mein aas umid kya aansu ki ek bund nahin
yun daman phailae chale hain raaton ke rahgir kahan
sadiyon ke pahchane KHwabon se bojhal in aankhon ko
anjaane KHwabon ke shahr mein le aai tabir kahan
ek virana ek shajar kuchh sae do pyasi aankhen
dekhen sajegi din ke makan mein raat ki ye taswir kahan
waqt ka dariya le bhi gaya wo sab jo dil-o-jaan se tha aziz
DhunDh rahe ho sahil par ab aansu ki tahrir kahan
(927) Peoples Rate This