An-kahe Lafzon Ka Matlab DhunDhta Rahta Hun Main
an-kahe lafzon ka matlab DhunDhta rahta hun main
kya kaha tha us ne aur kya sochta rahta hun main
yun hi shayad mil sake hone na hone ka suragh
ab musalsal KHud ke andar jhankta rahta hun main
maut ke kale samundar mein ubharte Dubte
barf ke tode ki surat Dolta rahta hun main
in fazaon mein umaDti phailti KHushbu hai wo
in KHalaon mein rawan, ban kar hawa rahta hun main
jism ki do gaz zamin mein dafn kar deta hai wo
kaenati had ki surat phailta rahta hun main
doston se sard-mehri bhi mere bas mein nahin
aur murawwat ki tapish mein ghumta rahta hun main
ek dhamake se na phaT jae kahin mera wajud
apna lawa aap bahar phenkta rahta hun main
chain tha 'KHalid' to ghar ki chaar-diwari mein tha
resturanon mein abas kya DhunDhta rahta hun main
(787) Peoples Rate This