Jurm Thahra Haal Se Aage Ka Naqsha Dekhna

jurm Thahra haal se aage ka naqsha dekhna

tazgi ki aas rakhna aur sabza dekhna

aarzu karna chaman-zaron ki sabza-zar ki

aur ta-hadd-e-nazar sahra hi sahra dekhna

azm ye rakhna ki gahrai ka sina chir den

aur apne aap ko sahil pe tanha dekhna

dhup ki barish mein rahna pyas ki lahron ke sath

har sarab-e-dasht ko taswir-e-dariya dekhna

dekhne walon se koi harf-e-manzar kya kahe

aankh ki taqdir mein likhkha hai kya kya dekhna

ye alamat kaun si hai kis se puchhun ai hawa

pahli rut mein har shajar par zard patta dekhna

kaun batlaega 'ansar' aisi baaton ka jawaz

chandni mein baadban par aks-e-dariya dekhna

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jurm Thahra Haal Se Aage Ka Naqsha Dekhna In English By Famous Poet Ansar Ali Ansar. Jurm Thahra Haal Se Aage Ka Naqsha Dekhna is written by Ansar Ali Ansar. Read famous Poem Jurm Thahra Haal Se Aage Ka Naqsha Dekhna for youth and Student by Ansar Ali Ansar. Free Download Jurm Thahra Haal Se Aage Ka Naqsha Dekhna in PDF.