Lamha Lamha Apni Zahrili Baaton Se Dasta Tha
lamha lamha apni zahrili baaton se Dasta tha
wo mera dushman ho kar bhi mere ghar mein basta tha
bap mara to bachche roTi ke TukDe ko taras gae
ek tane se kitni shaKHon ka jiwan wabasta tha
afwahon ke dhuen ne koshish ki hai kalak malne ki
wo bikne ki shai hota to har qimat par sasta tha
ek manzar mein peD the jin par chand kabutar baiThe the
ek bachche ki lash bhi thi jis ke kandhe par basta tha
jis din shahr jala tha us din dhup mein kitni tezi thi
warna is basti par 'anjum' baadal roz barasta tha
(818) Peoples Rate This