Har Ghar Ke Makinon Ne Hi Dar Khole Hue The
har ghar ke makinon ne hi dar khole hue the
saman bandha rakkha tha par khole hue the
kya karte jo do chaar qadam tha lab-e-dariya
jab hausle hi raKHt-e-safar khole hue the
ek us ke bichhaDne ka qalaq sab ko hua tha
sarsabz daraKHton ne bhi sar khole hue the
sachchai ki KHushbu ki ramaq tak na thi un mein
wo log jo bazar-e-hunar khole hue the
pahuncha tha haqiqat ko koi ek hi 'anjum'
aankhen to kai ahl-e-nazar khole hue the
(662) Peoples Rate This