Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f744ef35f83d08768866347ce06f52be, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kya KHabar Thi Ki Tere Sath Ye Duniya Hogi - Anjum Siddiqui Poetry In English - Darsaal

Kya KHabar Thi Ki Tere Sath Ye Duniya Hogi

kya KHabar thi ki tere sath ye duniya hogi

meri jaanib meri taqdir hi tanha hogi

aarzu ki ye saza hai ki zamana hai KHilaf

un se milne ki KHuda jaane saza kya hogi

marmarin jism ka charcha lab-o-ruKHsar ki baat

meri koi to ghazal un ka sarapa hogi

ashk-e-gham pine mein taklif to hoti hai magar

sochta hun ki mohabbat teri ruswa hogi

nama-bar bhi hai taraf-dar ab un ka 'anjum'

mere haalat ki ab un ko KHabar kya hogi

(730) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya KHabar Thi Ki Tere Sath Ye Duniya Hogi In English By Famous Poet Anjum Siddiqui. Kya KHabar Thi Ki Tere Sath Ye Duniya Hogi is written by Anjum Siddiqui. Read famous Poem Kya KHabar Thi Ki Tere Sath Ye Duniya Hogi for youth and Student by Anjum Siddiqui. Free Download Kya KHabar Thi Ki Tere Sath Ye Duniya Hogi in PDF.