Tanhai Ka Safarnama
sham hote hi ghar mujh se chhoTa paD jata hai
main raston ki bad-dua par nikla hun
jahan aankhon ko chehre kamane se fursat nahin
lagta hai tanhai mujh se ub gai hai
sansen maili ho rahi thin
miTTi ne mujhe phul bana diya
KHushbu hawa ki dost ho jae
to be-range log rang rang ki baaten
karte hi hain
(wo KHwah kitne bhi chhoTe ho jaen
achchha mausam in par kabhi pura nahin aata)
bad-zabanon ko malum nahin
uryani sirf aankhon par jachti hai
main zamin par gira hua chand hun
qadmon se pahle diwar mujhe phalang rahi hai
munDer par dhara charagh mujh se ziyaada raushan hai!
main bhi to main hun
ek gunah ke ewaz apna sari nekiyan
KHarch kar baiThta hun
KHamoshi ke KHali badan mein
koi dhun mujhe gungunati rahti hai
udasi aur kahan rahe
kash KHuda mujhe dekh raha ho!
(964) Peoples Rate This