TaKHliq Ki Saaton Mein
kuchh kahun to dam ghuTta hai
aur KHamoshi mujhe andar se kaTti hai
KHayalat par lafzon ke pahnawe
pure nahin aate
kaghazon par dukh utarna bhi to dukh ki baat hai
nazmen mujhe KHali kar deti hain
ye shairi to mujhe uryan kar degi!
main aur kitne chehre pahnun
binai ke jamghaTe mein
bar bar KHud se bichhaD jata hun
so main ne apni yaad-dasht mein ek
tanhai taKHliq ki
taki us mein baiTh kar mujhe KHud ko dohrane
ka mauqa milta rahe
fursat ne mujhe thaka diya tha
shukr hai! main apne kisi kaam to aaya!
(843) Peoples Rate This