Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ccc76a86aadd9a61c6a2b4440620dcf9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sara Shagufta - Anjum Saleemi Poetry In English - Darsaal

Sara Shagufta

kabhi KHuda se mil kar

insan se milna

KHuda ka makr hai insan!

mere to sare sawab

ungliyon ki poron se jhaD gae

aur gunah hain ki sine mein dhaDakte chale jate hain

thoDa sabr chakho!

lazzat paki pakai roTi nahin

jise chingir mein rakh kar tumhein paros dun!

tum to sarma ke lihaf mein bhi ThanDe paD rahe ho

danton ko pasina to aane do

ki zaban badan ka namak chura sake

miTTi se pyas nahin bujhi

mujhe abhi aur khodo

khodte raho ki pani ka zaiqa abhi

bahut patal mein hai!

(1131) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sara Shagufta In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Sara Shagufta is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Sara Shagufta for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Sara Shagufta in PDF.