Muhajir Parindon Ka Swagat
duniya
main apna sara husn
teri hatheli par rakh deta hun
aur tu apna sara zahr
mere andar unDel deti hai
jaanti hai nan
main ziyaada der KHali nahin rah sakta
meri gunj mujhe apni lapeT mein liye rakhti hai
sahma paDa rahta hun der der tak apne hi andar
apne KHali pan ke sannaTe mein
ya phir dhama-chokaDi karti an-kahi nazmon ke shor mein
chup chap baiTh rahta hun apne sath
kya aziyat hai?
apne aap se milte hue
KHud-kalami bhi nahin ho pati mujh se!
bolta hun to lafz zamin par girte hain
reza reza harf chun kar aankhon se chumta hun
ki apni samt lauTte samay
main unhen raund kar nahin guzar sakta
so kohar ki dhund mein ghire hue
muhajir parindon ke par uTha lata hun
apni kitab mein rakhne ke liye
tab apna suna-pan achchha lagne lagta hai
jab lafz parindon ki tarah mere aas pas
uDte phirte hain
un ke rizq se bhara rahta hai mera baatin
wo apni nannhi nannhi chonchen khol kar
mere wajud se apne maani chugte hain
unhi ki chahkar le ke aata hun
main tere liye meri pyari duniya!!!
(1049) Peoples Rate This