Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ae241f2f0429a226a4906e7d00d85aac, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri Be-libasi Tumhaara Pahnawa Nahin - Anjum Saleemi Poetry In English - Darsaal

Meri Be-libasi Tumhaara Pahnawa Nahin

shash shor mat karo

zamin ki aankh khul jaegi

main koi raaz nahin

jise tum fash kar doge

KHwahishon ke gale ghonT kar

katbon par mere KHwab likhte ho

tabir ke lalach mein

mujhe to KHwab mat batao

main jitna TuT sakta tha, TuT chuka

kya tum mere chure se

apni aankhon ki kenchuli ranganna chahte ho

meri be-libasi tumhaara pahnawa to nahin!

meri KHamoshi par

tumhaari aawaz ka kafan kam paD raha hai!

to chillate kyun ho?

jaante nahin?

shahr pahle hi meri tohmat se gunj raha hai!!!

(950) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Be-libasi Tumhaara Pahnawa Nahin In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Meri Be-libasi Tumhaara Pahnawa Nahin is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Meri Be-libasi Tumhaara Pahnawa Nahin for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Meri Be-libasi Tumhaara Pahnawa Nahin in PDF.