Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d67f3ffbd289a730b9c8dc944e9113d3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Tumhaare Liye Le Ke Aaya Hun - Anjum Saleemi Poetry In English - Darsaal

Main Tumhaare Liye Le Ke Aaya Hun

daftar se churaya hua nisf din

doston se bachai hui ek sham

bachchon se Thage hue wade

biwi ke hisse se kuchh narm garm lams

kuchh sote jagte bose

aur KHwabon se Tanki hui ye raat!

main tumhaare liye le ke aaya hun

sarsabz mausamon ke ujle bij

qadim zamanon se risti hui KHunuk hawa

aabi kinaron se sarshaar miTTi ki roidagi

aur ragon mein khilte hue safed gulabon ka shahad!

main tumhaare liye le ke aaya hun

be-tartib sanson ki mala

dahakte hathon ki sarsarahaT

aankhon mein dur tak gunjti hui KHamoshi

aur wijdan mein

ek bhuli hui muskurahaT!

tum ne mere liye rakkhi hai

be-kaif tanhai ki aaghosh

ThanDe lams se aawezan muskurahaT

pasine mein bhige bistar ke tewar

khurdure lahje ki kaDwahaT

uryan KHwahishon ki KHarashen

guzri raat ki basi mahak

aur tulu hote pachhtawe ki ek subh!

(930) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Tumhaare Liye Le Ke Aaya Hun In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Main Tumhaare Liye Le Ke Aaya Hun is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Main Tumhaare Liye Le Ke Aaya Hun for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Main Tumhaare Liye Le Ke Aaya Hun in PDF.