Inhiraf
main KHwaja-saraon ke shahr mein paida hua
main apni takmil ka lagan kis kis ko dun
man aaTa gundh kar bhuki so gai
aur main ne miTi gundh kar apne liye ek KHuda bana liya
sajda meri peshani ka zaKHm hai
magar mera marham safar-e-suqraat ke pyale mein paDa hai
KHuda ka bosa mera pahnawa tha
mujhe be-libas kar ke kaTha pahna diya gaya
meri zaban ne jalte koele ki gawahi chaKHi
aur munsif ne meri aawaz apne taraazu se chura li
main kya karun diwaron
dimak ka rizq ban jaun
ya chuhon ko apne badan mein bal bana lene dun
jo meri chhaTi his katarta chahte hain
(863) Peoples Rate This