Hum Be-watan KHwabon Ke Jolahe Hain

bahut si aawaz jama kar ke

ek chiKH banai ja sakti hai

bahut thoDe lafzon se

ek baghi nazm banai ja sakti hai

lekin

zinda qabristan mein ek nazm ka katba kafi nahin

qabren dam sadhe paDi hain

hamari maen murda bachchon ko janm de rahi hain

lashen shanaKHt karte hue hujum apna chehra

bhul jata hai!

hum zindagi se sohbat karne nikle the

aur zindagi ne hamare KHusiyon se kenche bana liye

hamare lahu mein chyunTiyan rengti hain

magar hum apni marzi se khujli tak nahin kar sakte

qatar mein khaDe khaDe hum dusron se muKHtalif kaise ho gae!!!

zindagi mizan hoti to hum us ke palDe apne wajudon se bhar dete

magar kya karen ki hum KHud apni nazron mein bahut be-wazn the

hatheliyon mein suraKH hon to aankhen kahan sambhaalen

hum ne sirf chehre nibhae rishte nahin

pyasi zaminon mein aansu kasht kar ke bhi

bund bhar hariyali nahin khili

hum sari umr apne KHwabon ke jolahe bane rahe

aur apne bachchon ke liye ek saya-dar parcham na bun sake

hamari miTTi mahz miTTi rahi

kabhi watan na ban pai!!!

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Be-watan KHwabon Ke Jolahe Hain In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Hum Be-watan KHwabon Ke Jolahe Hain is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Hum Be-watan KHwabon Ke Jolahe Hain for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Hum Be-watan KHwabon Ke Jolahe Hain in PDF.