Ek Aur Muhabbat
baat sirf itni thi
hum apne farsuda jazbon ke kaTh-kabaD ko bhi
ujle lafzon ke show-cason mein saja kar ham-kalami karte the
jaane kitne jismon ke visal se hote hue
ek dusre ke qarib pahunche the ham!
hamari dhuli-dhulai jholiyon mein jugali kiye hue
boson ki saDand thi
hamare lams KHuda ko chhune ki KHwahish mein maile ho rahe the
hatheliyon ki chingir mein paDe basi duaon ke niwale
hum se nigle na jate the
lahu thokti hui mohabbat hum se bichhaD rahi thi
aur hum munh pher kar use ruKHsat ke do aansuon ka namak
tak na de pa rahe the
rishta, sachcha izhaar mangta tha
aur hamare pas apni rafaqaton ki taziyat ke liye bhi
do lafzon ki taufiq na thi
baat sirf itni thi ki
hamari ruhen ek dusre se muawanat nahin kar pain thin
ya phir shayad
hamare pas ek aur mohabbat ki gunjaish hi nahin thi!
(966) Peoples Rate This