Be-masraf Rishton Ki Faraghat
sab se achchha khel hai
ajnabiyyat ko kuredna
sab se achchha khel hai
waqt-guzari
waqt bahut hai hamare pas
kuDhte rahne ke liye aur
baaten karne ke liye
diwaron se KHud-kalami ke andaz mein
diwaren kahan sunti hain
diwaren to bas diwaren hain
jo hail rahti hain rishton ke darmiyan
jin par laTkae ja sakte hain rishte!
matruk jazbon ke make-up mein lipTe lipTae
be-chehra poster
purane calender ki tarah utar phenkne ke liye
waqt ki qashen!
waqt bahut hai hamare pas
waqt guzari ke liye
computer screen par raushan rahte hain
be-hisab gaD-maD huruf be-shumar be-KHal-o-KHat
aawazen!
ajnabiyyat ki tahon se nae rishte nae talluq
jinhen laTkaya ja sake calender ki tarah
saKHt-dil diwaron par
jinhen laTkaya ja sake calender ki tarah
sab se achchha khel hai
ajnabiyyat ko kuredna
aur kured rahe hain hamare bachche
nae rishte nae ghar nae watan
khel hi khel mein
kitna be-rishta kitna be-ghar kitna be-watan kar diya hai
hamein hamare bachchon ne!!!
hamare pas to sirf diwaren bachi hain
jin par laTkai ja sakti hai
be-masraf rishton ki faraghat!!
aur waqt bahut hai hamare pas!!!
(955) Peoples Rate This