Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ef8442b356e72bb51cd8e0c98c9ba8ac, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaindagan Ki Udasi Mein - Anjum Saleemi Poetry In English - Darsaal

Aaindagan Ki Udasi Mein

jab duniya mere dukh baTane aai

mere sare dukh chura liye gae the

bhari bahaar mein mere aansuon ke bij jalae gae hain

aaj der baad nai mohabbat ko mansuKH kar ke

pahli tanhai se lipaT kar sona achchha laga hai

aaindagan ki udasi lapeT kar

ek purani mohabbat ka pursa wasul karte hue bhi

dil nahin bhara

jazbon ki katar-biyunt aur KHali lafzon mein dukhon ke paiwand lagate

thak gaya hun

isi udheD-bun mein

KHud ko saint saint kar rakhte hue

apne pairahan mein

ek KHwab tak sustane ki fursat nahin

so nae dukh kamane ki ujlat mein

tumhaara swagat hai dost!!!

(820) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaindagan Ki Udasi Mein In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Aaindagan Ki Udasi Mein is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Aaindagan Ki Udasi Mein for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Aaindagan Ki Udasi Mein in PDF.