Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2de7db8b4299b1b856f94648c776f986, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Mohabbat Ka Jo Ambar PaDa Hai Mujh Mein - Anjum Saleemi Poetry In English - Darsaal

Ye Mohabbat Ka Jo Ambar PaDa Hai Mujh Mein

ye mohabbat ka jo ambar paDa hai mujh mein

is liye hai ki mera yar paDa hai mujh mein

chhinT ek uD ke meri aankh mein aai to khula

ek dariya abhi tah-dar paDa hai mujh mein

meri peshani pe us bal ki jagah hai hi nahin

sabr ke sath jo hamwar paDa hai mujh mein

har talluq ko mohabbat se nibha leta hai

dil hai ya koi adakar paDa hai mujh mein

mera daman bhi koi dast-e-hawas khinchta hai

ek mera bhi KHaridar paDa hai mujh mein

kis ne aabaad kiya hai mari virani ko

ishq ne? ishq to bimar paDa hai mujh mein

mere uksane pe main ne mujhe barbaad kiya

main nahin mera gunahgar paDa hai mujh mein

mashwara lene ki naubat hi nahin aa pati

ek se ek samajhdar paDa hai mujh mein

ai barabar se guzarte hue dukh tham to sahi

tujh pe rone ko aza-dar paDa hai mujh mein

mera hona mere hone ki gawahi to nahin

mere aage mera inkar paDa hai mujh mein

bhuk aisi hai ki main KHud ko bhi kha sakta hun

kaisa ye qaht lagatar paDa hai mujh mein

(1537) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Mohabbat Ka Jo Ambar PaDa Hai Mujh Mein In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Ye Mohabbat Ka Jo Ambar PaDa Hai Mujh Mein is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Ye Mohabbat Ka Jo Ambar PaDa Hai Mujh Mein for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Ye Mohabbat Ka Jo Ambar PaDa Hai Mujh Mein in PDF.