Umr Ki Sari Thakan Lad Ke Ghar Jata Hun
umr ki sari thakan lad ke ghar jata hun
raat bistar pe main sota nahin mar jata hun
akasr auqat bhare shahr ke sannaTe mein
is qadar zor se hansta hun ki Dar jata hun
mujh se puchhe to sahi aaina-KHana mera
KHal-o-KHad le ke main hamrah kidhar jata hun
dil Thahar jata hai bhuli hui manzil mein kahin
main kisi dusre raste se guzar jata hun
sahma rahta hun bahut halqa-e-ahbab mein main
chaar diwar mein aate hi bikhar jata hun
mere aane ki KHabar sirf diya rakhta hai
main hawaon ki tarah ho ke guzar jata hun
main ne jo apne KHilaf aap gawahi di hai
wo tere haq mein nahin hai to mukar jata hun
(1554) Peoples Rate This