Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0c95ff8525add33fc8dfba221b1396fa, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Khincha Hua Hai Gardish-e-aflak Ne Mujhe - Anjum Saleemi Poetry In English - Darsaal

Khincha Hua Hai Gardish-e-aflak Ne Mujhe

khincha hua hai gardish-e-aflak ne mujhe

KHud se nahin utarne diya chaak ne mujhe

mauj-e-hawa mein tairta phirta tha main kahin

phir yun hua ki khinch liya KHak ne mujhe

main raushni mein aa ke pasheman bahut hua

uryan kiya hai ishq ki poshak ne mujhe

aaine ki tarah tha main shaffaf o aab-dar

gadla diya hai chashm-e-hawas-nak ne mujhe

KHushbu sa main ghilaf ke andar muqim tha

aur kho diya hai sina-e-sad-chaak ne mujhe

apne siwa jahan mein koi sujhta nahin

la phenka hai kahan mere idrak ne mujhe

(950) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khincha Hua Hai Gardish-e-aflak Ne Mujhe In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Khincha Hua Hai Gardish-e-aflak Ne Mujhe is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Khincha Hua Hai Gardish-e-aflak Ne Mujhe for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Khincha Hua Hai Gardish-e-aflak Ne Mujhe in PDF.