Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5c439267789918f61f6e6961fdfb4f04, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kal To Tere KHwabon Ne Mujh Par Yun Arzani Ki - Anjum Saleemi Poetry In English - Darsaal

Kal To Tere KHwabon Ne Mujh Par Yun Arzani Ki

kal to tere KHwabon ne mujh par yun arzani ki

sari hasrat nikal gai meri tan-asani ki

paDa hua hun sham se main usi bagh-e-taza mein

mujh mein shaKH nikal aai hai raat ki rani ki

is chaupal ke pas ek buDha bargad hota tha

ek alamat gum hai yahan se meri kahani ki

tum ne kuchh paDh kar phunka miTTi ke pyale mein

ya miTTi mein gundhi hui tasir hai pani ki

kya batlaun tum ko tum tak arz guzarne mein

dil ne apne aap se kitni khincha-tani ki

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal To Tere KHwabon Ne Mujh Par Yun Arzani Ki In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Kal To Tere KHwabon Ne Mujh Par Yun Arzani Ki is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Kal To Tere KHwabon Ne Mujh Par Yun Arzani Ki for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Kal To Tere KHwabon Ne Mujh Par Yun Arzani Ki in PDF.