Charagh Hath Mein Ho To Hawa Musibat Hai
charagh hath mein ho to hawa musibat hai
so mujh mariz-e-ana ko shifa musibat hai
sahulaten to mujhe ras hi nahin aatin
qubuliyat ki ghaDi mein dua musibat hai
uThae phirta raha main bahut mohabbat ko
phir ek din yunhi socha ye kya musibat hai
main aaj Dub chala ret ke samundar mein
chahaar-samt ye raqs-e-hawa musibat hai
KHud-agahi ka jo mujh par nuzul jari hua
main kya kahun ki ye rahmat hai ya musibat hai
bahut jacha hai ye be-dagh pairahan mujh par
go KHak-zad ko aisi qaba musibat hai
main kam hi rahta hun 'anjum' KHuda ki sohbat mein
gunahgar ko KHauf-e-KHuda musibat hai
(1915) Peoples Rate This