Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bfdad153049a2a4739668d9b3c4fe019, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaina Saf Tha Dhundla Hua Rahta Tha Main - Anjum Saleemi Poetry In English - Darsaal

Aaina Saf Tha Dhundla Hua Rahta Tha Main

aaina saf tha dhundla hua rahta tha main

apni sohbat mein bhi ghabraya hua rahta tha main

apna chehra mujhe katbe ki tarah lagta tha

apne hi jism mein dafnaya hua rahta tha main

jis mohabbat ki zarurat thi mere logon ko

us mohabbat se bhi baz aaya hua rahta tha main

tu nahin aata tha jis roz Tahalne ke liye

shaKH ke hath pe kumlaya hua rahta tha main

dusre log batate the ki main kaisa hun

apne bare hi mein bahkaya hua rahta tha main

(1498) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina Saf Tha Dhundla Hua Rahta Tha Main In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Aaina Saf Tha Dhundla Hua Rahta Tha Main is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Aaina Saf Tha Dhundla Hua Rahta Tha Main for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Aaina Saf Tha Dhundla Hua Rahta Tha Main in PDF.