Nahin Nam-o-nishan Sae Ka Lekin Yar BaiThe Hain
nahin nam-o-nishan sae ka lekin yar baiThe hain
uge shayad zamin se KHud-ba-KHud diwar baiThe hain
sawar-e-kashti-e-amwaj-e-dil hain aur ghafil hain
samajhte hain ki hum dariya-e-gham ke par baiThe hain
ujaD aisi na thi duniya abhi kal tak ye aalam tha
yahan do-chaar baiThe hain wahan do-chaar baiThe hain
phir aati hai isi sahra se aawaz-e-jaras mujh ko
jahan majnun se diwane bhi himmat haar baiThe hain
samajhte ho jinhen tum sang-e-mil ai qafile walo
sar-e-rah KHastgan-e-hasrat-raftar baiThe hain
ye jitne masale hain mashghale hain sab faraghat ke
na tum be-kar baiThe ho na hum be-kar baiThe hain
tumhein 'anjum' koi us se tawaqqo ho to ho warna
yahan to aadmi ki shakl se be-zar baiThe hain
(883) Peoples Rate This