Dukhi Dilon Ke Liye Taziyana Rakhta Hai

dukhi dilon ke liye taziyana rakhta hai

har ek shaKHs yahan ek fasana rakhta hai

kisi bhi haal mein raazi nahin hai dil hum se

har ek tarah ka ye kafir bahana rakhta hai

azal se Dhang hain dil ke ajib se shayad

kisi se rasm-o-rah ghaebana rakhta hai

koi to faiz hai koi to baat hai is mein

kisi ko dost yunhi kab zamana rakhta hai

faqih-e-shahr ki baaton se dar-guzar behtar

bashar hai aur gham-e-ab-o-dana rakhta hai

muamlat-e-jahan ki KHabar hi kya us ko

muamla hi kisi se rakkha na rakhta hai

hamin ne aaj tak apni taraf nahin dekha

tawaqquat bahut kuchh zamana rakhta hai

qalandari hai ki rakhta hai dil ghani 'anjum'

koi dukan na koi kar-KHana rakhta hai

(2073) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dukhi Dilon Ke Liye Taziyana Rakhta Hai In English By Famous Poet Anjum Rumani. Dukhi Dilon Ke Liye Taziyana Rakhta Hai is written by Anjum Rumani. Read famous Poem Dukhi Dilon Ke Liye Taziyana Rakhta Hai for youth and Student by Anjum Rumani. Free Download Dukhi Dilon Ke Liye Taziyana Rakhta Hai in PDF.