Din Ho Ki Raat, Kunj-e-qafas Ho Ki Sehn-e-bagh

din ho ki raat, kunj-e-qafas ho ki sehn-e-bagh

aalam-e-rozgar se hasil nahin faragh

raghbat kise ki lijiye aish-o-tarab ka nam

fursat kahan ki kijiye sahba se pur ayagh

virana-e-hayat mein aasuda-KHatiri

kis ko mila is aahu-e-ram-KHurda ka suragh

aasar-e-ku-e-dost hain aur pa-shikastagi

KHushbu-e-zulf-e-yar hai aur hum se be-dimagh

kis ki jabin pe hain ye sitare araq araq

kis ke lahu se chand ka daman hai dagh dagh

karte hain kasb-e-nur isi tirgi se hum

'anjum' hain dil ke dagh guhar-ha-e-shab-charagh

(700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Ho Ki Raat, Kunj-e-qafas Ho Ki Sehn-e-bagh In English By Famous Poet Anjum Rumani. Din Ho Ki Raat, Kunj-e-qafas Ho Ki Sehn-e-bagh is written by Anjum Rumani. Read famous Poem Din Ho Ki Raat, Kunj-e-qafas Ho Ki Sehn-e-bagh for youth and Student by Anjum Rumani. Free Download Din Ho Ki Raat, Kunj-e-qafas Ho Ki Sehn-e-bagh in PDF.