Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e178a26681a5777e05492d417f55ec8f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kuchh Din Se Zindagi Mujhe Pahchanti Nahin - Anjum Rehbar Poetry In English - Darsaal

Kuchh Din Se Zindagi Mujhe Pahchanti Nahin

kuchh din se zindagi mujhe pahchanti nahin

yun dekhti hai jaise mujhe jaanti nahin

wo be-wafa jo rah mein Takra gaya kahin

kah dungi main bhi saf ki pahchanti nahin

samjhaya bar-ha ki bacho pyar-wyar se

lekin koi saheli kaha manti nahin

main ne tujhe muaf kiya ja kahin bhi ja

main buz-dilon pe apni kaman tanti nahin

'anjum' pe hans raha hai to hansta rahe jahan

main be-waqufiyon ka bura manti nahin

(4944) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Din Se Zindagi Mujhe Pahchanti Nahin In English By Famous Poet Anjum Rehbar. Kuchh Din Se Zindagi Mujhe Pahchanti Nahin is written by Anjum Rehbar. Read famous Poem Kuchh Din Se Zindagi Mujhe Pahchanti Nahin for youth and Student by Anjum Rehbar. Free Download Kuchh Din Se Zindagi Mujhe Pahchanti Nahin in PDF.